Question Category: Suggestions -

Assalaam O Alaikum! Ap ki jo site hai wo bht acha kam hai, magar log masle parhte hai to us k tafseer k bina smjh lenge, agar koi ghalat matlab nikal k smje ga to us ka gunah ap logo pe aiga. ya to ap log apni website pe tafsee kisi sahi mufassereen dekh k lagai… Quran k meaning khud nhi smje ja sakhte is k lye koi Alim ya mufti hona chahye. mene ek post ap logo ka check kiya tha us main ap ne logo se baat shoro kardi aur, Paighambar word ko jata dya… aiese nadaniyan na kije jis ka gunah ka azab ai. ap log mufti taqi usmani sahab ki tafseer rakh sakhte hai. net pe in ki books available hai volume 1,2 aur 3. hope k ap log smje n is pe koi action le… Thanks!?

English: Urdu: Other: